Tuesday 30 August 2011

SRI KRISHNA

                                          LEELA PURUSHOTAM HAI SRIKRISHANA


Srikrishna ne janam ke sath hi leela aarambh kar di thi aor jivan bhar lokhit me leelae karte rahe. yahi karan hai ki wo ban gae leela purushotam .
Sri ram aor srikrishna dono hi bhagwan vishnu ke avtar mane gae hai, parantu dono ki parkiriti  aor acharan me kafi bhinta hai. sri ram ne kathin se kathin pariesthiti me bhi maryada ka atikarman nahi kiya, we maryada purushotam kahlae. wahi shri krishna ka avtaran biprit pariesthitio me hua. mata devki aor pita bashudev atayachari kansh ke karagar me bandi the. apne avibhao se sawdham gaman tak srikrishna ne etni vividhita ke sath tamam leelae ki we ban gae leela purushotam.
                                                                                   
ANANT LILA VILAS -------

      PORANIC GARNTHO aor khatho me bhagwan sri krishna ka leela vilash anant hai. janam lete hi chaturbhujh rup me pargat hokar , phir chhota balak ban jana, karagar ke pahredaro ka so jana aor pita basudev ji  ki hathkadi - bedi aor darwaje ka sawam khul jana , yamuna me badh aane par bhi rato rat balak srikrishna ka gokul pahuch jana, samanay bate nahi thi. apni chhti ke din hi rakshai putna ka shisu srikrishna ne sanhar kar diya .yasoda mata ko mukh ke andar brahmand  dhikhlana, barahma ji ko sabak sikhane ke liye gop- balak aor bachhro ki navin sristi karna, akarurji ko marg aor jal ke andar ek hi sath dono jagah ek hi rup me darsan dena aor bal krishna dawara kakasur ki gardan maror kar use phek dena aasharyjanak tha.

CHIR HARAN-                                          

   Leela ke madhayam se srikrishna ne gopiyo ko yah samja diya ki jab tak jiv agyan ke aaowran me rahega , tab tak parmatma se uska milan nahi ho sakega. es leela ka ek anay abhipray jeev ka dehabhiman samapt karna hai. srikrishna ki ras leela ka bhi bara gudh arath hai. esme bhog vilas jara sa bhi nahi hai. ras leela karke onhone yah sanket kar diya ki jab jeev gopi -bhav dharan karke apna sab kuchh  sri krishna ko samarpit kar deta hai. tab wo un sarbeswar ka kirpapatra ban jata hai
                       

                           Srimad bhagwat gita me likha hai ki bhagwan srikrishna ne jis deh se 125 baras tak lokhit me vividh leelae ki , wah deh bhi kisi ko nahi mili. srikrishna ki har leela hameh jeevan jeene ki kala sikhati hai. jagat guru bankar srikrishna ne arjun ko sambodhit karte hue .hameh gita ke rup me jo updesh diye hai, we sada samaj ke margdarsan karte rahege. yahi karan hai srikrishna ki astuti me kaha gaya               नमोदेवादिदेवायकृष्णायपरमात्मने।परित्राणायभक्तानांलीलया वपुधारिणे

No comments:

Post a Comment